
How to Delete Google Account Permanently
Google par jitane bhi account aapane banaye hai unako ek sath agar aap delete karana chahte ho.
to Google account ko kis tarah se delete karate hai isake bare me hum janenge.
Google ki bahot sari services hai jisape hum aapane email id se Register kar lete hai.
jiname google play store, google business, google maps,
youtube, google news, google drive, google plus.
ise koi ek service ya phir ye sabhi service aap band karana chahate ho
to kistarah se kiya jata hai isake bare me hum is post me janenge.
Google account ko delete karane ke liye aapko kuch procedure hai jo follow karana hai.
Procedure for Delete Google Account
Sabase pahale aapko google account me login karana hai.
agaraapko google account pata nahi to aap apane gmail me
computer ya laptop ke browser se login kar sakate ho.
Gmail me login karane ke bad aapko right corner me menu option dikhai dega
niche image me bataya gya hai.
Waha par aapko Google ke sabhi application menu me dikhai denge.
jisameAccount, google play, google search, maps, youtube aur bahot se application waha maujud hai.
Account ka yah jo option menu me hai usake upar click karana hai.
Iske bad account ke Option par click karate hi aap ek naye tab me chale jate ho
jahapar naya window open hokar aapko control and security ka page dikhai dega.
Wahapar “account preference” yah option aapko dikhai dega.
aap “account Preference” ka option directly open karana chahate ho to aapko “account preference” yah option Google par direct search karana hoga.
Aur jo “account preference” ka link dikh rha hoga use open karana hai.
“Account preference” option me apko ”Delete Your Account or Services” yah option dikhai dega. Uspar jana hai.
Vahapar aapko do option dekhai denge jisame “Delete Product” aur “ Delete Google and data ”.
agar aap “Delete Product” par click karate ho to
apako Gmail ka password phir se enter enter karana hoga.
Aur phir se login karana hoga.
Delete Product me aane ka bad aap yaha par do option dekh sakate ho.
jisame aapko Youtube aur Gmail yah Option Dekhai denge.
karane ke liye usake samane aapko delete ka symbol dekhai dega.
Agar aap Gmail ya Youtube me se kisi ek Ko delete karana chahate ho.
to usake samane jo delete ka symbol hai usake upar click kare aur gmail ka password phir se enter karna hai.
Phir ek massage aapko dekhai dega.
Jisame aapko “ Delete your content from Youtube ” yah Option dekhai dega.
Agar youtube ka content permanently delete karna chahte ho to waha “ Permanently delete content” yah option dekahi dega.
usake upar click kar ke waha par ek check box hai usako right check karana hai aur “ delete my content” par click karna hai.
Isake bad confirmation ke liye aapaka email address waha enter karana hai.
Aur delete my content par click karna hai.
Is tarah se hum gmail ke Google account ko delete kar sakate ho.
Agar aap apane sabhi google ke data ko delete karna chahate ho to.
account delete karane ke liye aapko niche ka jo
diya “Delete Google and data” hai uspar click karana hai.
Uspar click karane ke liye upar di gai same procedure hame apanani hai.
“Delete Your Account services and data” me jane ke bad aapko “ Delete your google account and data” isake upar click karna hai.
Phir se Gmail password enter karana hai aur gmail me login hone ke bad aap ek page par jate ho.
Jisame aapko “ Delete Your Google Account ” yah option vala page show hota hai.
Yaha par ek option dekhega jisame “ Download Your Data” yah option hai usake upar click kar ke.
google se aapna personal data Download kar ke aap use aapane laptop / computer me save kar ke rakh sakte ho.
Isake bad jaise aap niche scroll karate ho wha par apko Google Account se jude sabhi Application dekhai denge.
Waha par aapko niche scroll kar ke do check box par jana hai aur unhe tick karana hai.
Usake bad Gmail ke account ke sabhi services ko pranmanently delete karne ke liye Delete Account par click karana hai.
“Delete Account” par click karane ke bad aapko “Your Account and All Its Data have been deleted” yah Massage Dekhai dega.
Isaka matalab aapka sabhi data jo Gmail se Juda tha yani Pura ka pura Google Account Delete Ho jayega.
To Is tarah se aapko Google Account ko Delete krana hai.
aur sabhi tarah ka aapka jitana bhi data google ne jo save kiya tha wo delete ho jayega.
Isako aap do mahino ke andar kabhi bhi recover kar sakate ho lekin do mahino bad yah puri tarah se delete ho jata hai.