
TWO WHEELER INSURANCE ONLINE KAISE NIKALE?
Two-wheeler Insurance ka hona hame
kitana jaruri hai ya sab log janate hai.
Two wheeler insurance alag alag company se nikalate hai.
Kuch insurance company aapko acha benefits deti hai
aur kuch me kuch bhi milane ki Gunjaish nahi hoti.
Wo sab isliye hota hai kya hamane jo insurance liya hai
wo ek reputed company se liya hai ya nahi.
Two-wheeler insurance hona matalab hame
compensation Milana agar bike chori ho jaye,
accident ho jaye. Isake liye bahot se norm aur conditions hote hai.
Is liye Two wheeler insurance ek authenticate company se lena behad jaruri hai.
Is post me hum janenge agar aap online two wheeler insurance lena chahte ho
to saste me two wheeler insurance kaise liya jaye.
Comparison Kare:
Dher sari company two wheeler insurance market me deti hai.
Sabse saste me aur ache benefits ke sathi bike insurance
lene ke liye aapko sabhi company ke plan ko compare krana hoga.
Comparison bahot tarike se kiya jata hai.
Ek aap har company ke website par jakar price aur benefits check kar sakate ho
ya phir ek website par jakar sabhi company ke benefits check kar skate ho.
Sabase aasan hai ek website par jakar sabhi company ke benefits check karna.
To is post me hum janenege two wheeler insurance kaise nikale saste me.
Check Benefits On the single website:
Two wheeler insurance nikalne ke liye aur sabhi company
ke plan compare karane ke liye www.policybazaar.com par aapko jana hai.
Is website ke jariye aap sabhi company ke plans aur benefits aap
aasani se check kar sakate ho.
Two Wheeler insurance kaise khoje:
Sabse pahale jaise hi aap policy bazaar website par enter karate ho
aapko website me enter hona hai. Waha par aapko “Two wheeler”
yah option select karana hai.
Isake bad ek form open ho jata hai usame aapko Registration
Number enter karana hai ya phir aap policy upload kar ke bhi detail le sakate ho.
Registration Number (Two wheeler Bike Number) enter karane ke bad
apko “Get Details” par click karana hai.
Usake bad ek naye page par aap redirect hote hai.
Jisame aap previous insurance ki company agar listed
dekhate ho agar aapko pata hai to aap wahi same company choose kar sakate ho.
Ya phir naye company se Two wheeler insurance nikalana hai to
“ I Don’t have / Don’t remember previous company insurance” ispar click karana hai.
Isake bad aapke pas sabhi company ki Insurance policy ki list open ho jati hai
aur jis company ka Two wheeler insurance aap lena chahate ho
usake upar aapko click karana hai.
Usake upar click karate hi aapko jis company ka insurance
aap lena chahate ho usake nam ke age click krana hai.
Jaise hi aap use open karate ho waha par aapko ek chota form fill karana hai.
Jisame vehicle owner number, Mobile number,
email id aur communication address yah fill karana hai.
Waha par kisi bhi policy ki detail me janakari ke liye aap
“Policy wording” me jakar complete janakari le sakate ho.
Isake bad form fill karake Continue to step 2 par click karana hai.
Waha se aap step3 pr jate ho jisame aapko nominee,
nominee relation aur age dena hai.
aur continue to step 3 par click karana hai.
Proposal step 3/3 is step par aane ke bad kuch default information aapko dekhai degi
jisame manufacture information, engine number, chassis number,
registration date, yah sab dekhai dega.
Agar aapaka nam RC book par nam hai to yes par click krana hai.
Badame save and proceed par click karana hai.
Isake bad aapko final amount dekhai dega jisame GST ke sath aapko price de gai hai.
Usake bad click here to pay now par aapko click krana hai.
Isake bad kis madhyam se aap payment karana chahate ho
wo select karana hai aur payment kar dena hai.
Payment success hone ke bad aapko email par apke policy ki detail mil jati hai
aur kuch hi dino me hard copy by post aapko mil jati hai
jo adddress aapne diya hai usake upar.
to aapko yah post kaise lagi Muzhe comment me jarur batayein.